Thursday 22 July 2021

[My Poetry: Urdu] TUM KISI AUR K HONAY LAGAY HO

 There have been 3 Punjabi Poetries in the previous posts, now is the time for some Urdu poetry...

Some of my friends and family members say that "You are good in Urdu poetry, why you write Punjabi ones more than Urdu?". I really dont know what to say to them in answer but... yeah... I am good in Urdu.

So, this poetry is about dishonesty with some beloved one... Bewafaai...

Its about those situations when you start ignoring your wife/girlfriend or someone you loved And they are in doubt that you are about to leave them...


This was written in my diary on September 15, 2019 and now its in here too.


Aaj kal baarish hoti rehti hai,

Aankhon se aansu ban kar behti rehti hai,


Aur mujhse bhi yeh kehti rehti hai,

K Tum Kisi Aur K Hone Lage Ho.


Kisi aur ki yaadon mein khonay lage ho,

K Tum Kisi Aur K Hone Lage Ho.


Aur mujh se door tum hone lage ho,

K Tum Kisi Aur K Hone Lage Ho.


Pehle aa kar bethte the mere paas tum,

Aur karte the baatein mere sath tum,


Lagta hai kisi aur k qareeb hone lage ho,

K Tum Kisi Aur K Hone Lage Ho.


Pehle lagta tha k time nahi de paata main tumhein,

Ab lagta hai k bilkul hi nahi bhaata main tumhein,


Tabhi mujh se door door rehne lagay ho,

K Tum Kisi Aur K Hone Lage Ho.


Pehle dekh k mujhe muskarate the tum,

Ab muskarata dekhne k liye  tarsaate ho tum,


Ab baahir jaane ki zid pe ronay lagay ho,

K Tum Kisi Aur K Hone Lage Ho.


Pehle lagta tha ghar hi jannat tumhein,

Barson ki maani huwi mannat tumhein,


Ab "Nouman" ko bhi tum khonay lagay ho,

K Tum Kisi Aur K Hone Lage Ho.


K Tum Kisi Aur K Hone Lage Ho...


A Piece of Advice:

Kabhi Bhi Kisi Apne Se Bewafaai Na Karein...

Bewafa ko kabhi bhi naya Yaar wafadaar nahi milta

aur wafadaar ko kabhi naya yaar Bewafa nahi milta...

Yes, It happens in many situations k unhein aap se zyada wafa krne wala mil jaata hai...


Here's an image of this poetry in Urdu:



No comments:

Post a Comment